Hum Katha Sunate Lyrics – Ramayan (1987)

 Hum Katha Sunaate Song Details

Song: Hum Katha Sunaate
Album: Ramayan (1987)
Singer: Kavita Krishnamurthy, Hemlata, Ravindra Jain
Lyrics: Ravindra Jain
Music: Ravindra Jain

Hum Katha Sunate Lyrics

Om Shri Mahaganadhi Pataye Namah
Om Shri Uma Maheshwara Bhyam Namah

Valmiki Gurudev Ke
Kar Pankaj Sir Naam
Sumire Maat Saraswati
Hum Par Ho Hu Sahaar

Maat Pita Ki Vandana
Karte Baaram Baar
Gurujan Raja Praja Jan
Naman Karo Swikaar

Hum Katha Sunate
Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Hum Katha Sunate
Ram Sakal Gun Dhaam Ki

Yeh Ramayan Hai
Punya Katha Shri Ram Ki

Jambu Dweepe Bharat Khande
Aryavarte Bharatvarshe
Ek Nagri Hai Vikhyat
Ayodhya Naam Ki

Yahi Janmabhoomi Hai
Param Pujya Shri Ram Ki
Hum Katha Sunaate
Ram Sakal Gun Dhaam Ki

Yeh Ramayan Hai
Punya Katha Shri Ram Ki
Yeh Ramayan Hai
Punya Katha Shri Ram Ki

Raghukul Ke Raja Dharmatma
Chakravarti Dashrath Punyatma
Santati Hetu Yagya Karvaya
Dharm Yagya Ka Shubh Phal Paya

Nrip Ghar Janme Char Kumara
Raghukul Deep Jagat Aadhara
Charon Bhraton Ka Shubh Naamah
Bharat Shatrughan Lakshman Rama

Guru Vashisht Ke Gurukul Jaake
Alp Kal Vidya Sab Paake
Puran Hui Shiksha
Raghuvar Puran Kaam Ki

Hum Katha Sunaate
Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Yeh Ramayan Hai
Punya Katha Shri Ram Ki

Mridu Swar Komal Bhavana
Rochak Prastuti Dhang
Ek Ek Kar Varnan Karein
Luv Kush Ram Prasang

Vishwamitra Mahamuni Rai
Inke Sang Chale Do Bhai
Kaise Ram Tadka Maari
Kaise Nath Ahilya Taari

Munivar Vishwamitra Tab
Sang Le Lakshman Ram
Siya Swayamvar Dekhne
Pahunche Mithila Dham

Janakpur Utsav Hai Bhari
Janakpur Utsav Hai Bhari
Apne Var Ka Chayan Karegi
Sita Sukumari

Janakpur Utsav Hai Bhari

Janak Raj Ka Kathin Pran
Suno Suno Sab Koi
Jo Tode Shiv Dhanush Ko
So Sita Pati Hoye

Koh Tode Shiv Dhanush Kathor
Sabki Drishti Ram Ki Oar
Ram Vinay Gun Ke Avtar
Guruvar Ki Aagya Sir Dhar

Sehaj Bhav Se Shiv Dhanu Toda
Janak Suta Sang Nata Joda

Raghuvar Jaisa Aur Na Koi
Sita Ki Shamta Nahi Hoi
Dau Kare Parajit
Kanti Koti Rati Kaam Ki

Hum Katha Sunate
Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Yeh Ramayan Hai
Punya Katha Siya Ram Ki

Sab Par Shabd Mohini Daali
Mantramugdha Bhaye Sab Nar Naari
Yon Din Rain Jaat Hain Beete
Lav Kush Ne Sab Ke Mann Jeete

Van Gaman Sita Haran
Hanumat Milan Lanka Dehan
Ravan Maran Ayodhya Punaragaman

Sab Vistar Sab Katha Sunayi
Raja Ram Bhaye Raghurai
Ram Raaj Aayo Sukh Daayi
Sukh Samriddhi Shri Gharghar Aayi

Kaal Chakra Ne Ghatna Kram Mein
Aisa Chakra Chalaya
Ram Siya Ke Jeevan Mein
Phir Ghor Andhera Chhaya

Avadh Mein Aisa
Aisa Ek Din Aaya
Nishkalank Sita Pe Praja Ne
Mithya Dosh Lagaya

Avadh Mein Aisa
Aisa Ek Din Aaya

Chaldi Siya Jab Tod Kar
Sab Neh Naate Moh Ke
Pashan Hridayon Mein Na
Angare Jage Vidroh Ke

Mamta Mayi Maayon Ke Aanchal
Bhi Simat Kar Reh Gaye
Gurudev Gyan Aur Neeti Ke
Sagar Bhi Ghat Kar Reh Gaye

Na Raghukul Na Raghukul Nayak
Koi Na Hua Siya Ka Sahayak
Manavta Ko Kho Baithe Jab
Sabhya Nagar Ke Vaasi

Tab Sita Ko Hua Sahayak
Van Ka Ek Sanyasi

Un Rishi Param Udaar Ka
Valmiki Shubh Naam
Sita Ko Aashray Diya
Le Aaye Nij Dham

Raghukul Mein Kuldeep Jalaye
Ram Ke Do Sut Siya Ne Jaaye

Shrota Gan!
Jo Ek Raja Ki Putri Hai
Ek Raja Ki Putravadhu Hai
Aur Ek Chakravarti Raja Ki
Patni Hai

Wahi Maharani Sita
Vanvas Ke Dukhon Mein
Apne Din Kaise Kaat’ti Hai
Apne Kul Ke Gaurav Aur
Swabhiman Ki Raksha Karte Hue

Kisi Se Sahayta Mange Bina
Kaise Apna Kam Woh Swayam Karti Hai
Swayam Van Se Lakdi Kaat’ti Hai
Swayam Apna Dhaan Koot’ti Hai
Swayam Apni Chakki Pisti Hai

Aur Apni Santan Ko
Swavalambi Ban’ne Ki Shiksha
Kaise Deti Hai
Ab Uske Karun Jhanki Dekhiye

Janak Dulari Kulavadhu
Dasharath Ji Ki Raj Rani Hoke
Din Van Mein Bitati Hain

Rehti Thi Gheri Jise
Daas Daasi Aathon Oar
Daasi Bani Apni
Udaasi Ko Chhupati Hai

Dharam Praveena
Sati Param Kulina Sab
Vidhi Dosh Hina Jeena
Dukh Mein Sikhati Hai

Jagmata Hari Priya
Lakshmi Swarupa Siya
Koot’ti Te Hai Dhan
Bhoj Swayam Banati Hai

Kathin Kulhadi Leke
Lakdiyan Kaat’ti Hai
Karam Likhe Ko Par
Kaat Nahi Paati Hai

Phool Bhi Uthana Bhari
Jis Sukumari Ko Tha
Dukh Bhari Jeevan Ka
Bojh Woh Uthati Hai

Ardhangini Raghuveer Ki
Woh Dhar Dheer
Bharti Hai Neer
Neer Jal Mein Nehlati Hai

Vish’ke Praja Ke Apvadon
Kuchakra Mein Woh Pisti Hai Chaaki
Swabhiman Ko Bachati Hai

Paalti Hai Bacchon Ko Woh
Karmayogini Ke Bhanti
Swabhimani Swavalambi
Safal Banati Hai

Aisi Sita Mata Ki
Pariksha Lete Dukh Dete
Nithur Niyati Ko
Daya Bhi Nahi Aati Hai

Ho.. Us Dukhiya Ke Raj Dulaare
Hum Hi Sut Shri Ram Tihaare

Ho.. Sita Maa Ki Aankh Ki Taare
Lav Kush Hai Pitu Naam Humare

Hey Pitu Bhagya Humare Jaage
Ram Katha Kahi Ram Ke Aage

Hum Katha Sunate Song Video






No comments

Powered by Blogger.